Is kadar hum yaar ko manane nikle,
uski chahat ke hum deewane nikle, jab bhi use dil ka haal batana chaha, to uske
hothon se waqt na hone ke bahane nikle...
Aansuo ke girne ki aahat nahi hoti,
Dil ke tootne ki awaaz nahi hoti, Agar hota khuda ko ehsaas dard ka, to use
dard dene ki Aadat nahi hoti..
Hamara har lamha chura liya aapne,
aankhon ko ik chand dikha diya aapne. Hamein zindagi to di kisi aur ne, par
pyaar itna dekar jeena sikha diya aapne.
Woh nadiyan nahi aansu they mere,
jinpar woh kashti chalate rahe.
Manzil mile unhein yeh chahat thi meri, isliye hum aansu bahate rahe.
Manzil mile unhein yeh chahat thi meri, isliye hum aansu bahate rahe.
Tujhe bhoolkar bhi na bhool payenge
hum, Bas yahi ek wada nibha payenge hum.
Mita denge khud ko bhi jahan se lekin, Tera naam dil se na mita payenge hum..
Mita denge khud ko bhi jahan se lekin, Tera naam dil se na mita payenge hum..
Ye pyari nigahein yaad rahengi,
milkar na milne ki ada yaad rahegi, mumkin nahi ki main tumhe bhula dun, aur
umar bhar tumhe bhi meri yaad rahegi.
Tum mujhe kabhi dil kabhi aakhon se
pukaro, Ye hothon ke taqaluf to zamane ke liye hain.
Dosti insan ki zaroorat hai, dilon
pe dosti ki huqumat hai, aap ke pyar ki wajah se zinda hain warna khuda ko bhi
hamari zaroorat hai.
Tu dekh ya na dekh, tere dekhne ka
gham nahi, par teri ye na dekhne ki ada dekhne se kam nahi..
Is se pehle ki dilo me nafrat jaage,
aao ek shaam mohabbat me bita di jaye.... Karke kuch mohabbat ki baatein, Is
shaam ki masti badha di jaye.
Teri doori ka ehsaas jab satane
laga. Tere sath guzra har lamha yaad aane laga. Jab bhi bhulane ki koshish ki.
Tu dil ke aur karib aane laga.
Jab bhi kisi ko kareeb paya hai,
kasam khuda ki wahin dhokha khaya hai. Kyon dosh dete hein hum kanto ko...
Zakham to humne phulo se paaya hai.
Karoge yaad ek din is pyar ke zamane
ko, chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko. Chalega mehfil me jab zikr
hamara koi, to tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko.
Mohobbat ka imtihan aasan nahi; pyar
sirf pane ka naam nahi. Muddatein beet jati hain kisi ke intezaar mein, ye sirf
pal-do-pal ka kaam nahi.
Teri berukhi ko bhi rutba diya
humne. Pyar ka har farz ada kiya humne. Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhe;
aaj bhi khuda se pehle tujhe yaad kiya humne.
Tanhai bhari zindagi ka safar mila;
na saathi, na humsafar mila. Hum diya jalta chhod gaye the unke liye; jab vapis
lote to jalta hua ghar mila.
Na jaane tum pe itna yakin kyon hai?
Tera khayal bhi itna haseen kyon hai? Suna hai Pyar ka dard meetha hota hai; to
aankh se nikla ye aansu namkeen kyon hai?
Sabhi ko sabh kuch nahi milta, nadi
ki har lehar ko sahil nahi milta, yeh dil walon ki dunia hai dost, kisi se dil
nahi milta to koi dil se nahi milta.
Mohabbat mein laakhon zakham khaye
humne, afsos unhe hum par aitbar nahi, mat pucho kya gujarti hai dil par, jab
vo kehte hai hame tumse pyar nahi..
Hasta huya dekh kar log kehte hain
ke hum gam se khali hain, par unhe kya pata ke jo gam ke baag hain, hum us baag
ke mali hain..
Zuban khamosh, ankhon me nami hogi,
Yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi,
Bharne ko to har zakham bhar jayega,
kaise bharegi wo jagah jaha Teri kami hogi.
Yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi,
Bharne ko to har zakham bhar jayega,
kaise bharegi wo jagah jaha Teri kami hogi.
Kabar ki mitti utha ke le gaya koi,
isi bahane humein choo kar chala gaya koi, tanhayi aur andhere mein khush they
hum, lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi..
Dil to unke seene mein bhi machalta
hoga..
husn bhi so-so rang badalta hoga..
Uthti hongi jab nagahein unki..
Khud "khuda" bhi gir-gir ke sambhalta hoga..
husn bhi so-so rang badalta hoga..
Uthti hongi jab nagahein unki..
Khud "khuda" bhi gir-gir ke sambhalta hoga..
Kadam kadam pe baharon ne saath
chhoda, zaroorat padne par yaaron ne saath chhoda, vaada kiya sitaron ne saath
dene ka, subah hone par sitaron ne bhi saath chhoda.
Khamoshiyan teri mujhse baatein
karti hain, meri har aah har dard samajhti hain. Pata hai majbuur hai tu bhi
aur main bhi, phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.
Mere haathon se gir gayi lakeeren
kahin, bhool aaye hum apni takdeeren kahin. Agar mile tumko kahin to utha lena,
mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena.
Bolti hai dosti, chup rehta hai
pyar. Hasati hai dosti, rulata hai pyar. Milati hai dosti, juda karta hai pyar.
Phir bhi kyun dosti chodkar log karte hain pyar??
Unki tasveer ko seene se laga lete
hain, iss tarah judai ka gham mitaa lete hain. Kisi tarah zikar ho jaye unka,
to hass kar bheegi palkein jhuka lete hain.
Bheeg jaati hain palkein tanhayi
mein, darte hain koi jaan na le. Pasand karte hain tez barsaat mein chalna,
kahi rote hue ko koi pehchaan na le.
Teri dosti mein khud ko mehfooz
maante hain, hum doston mein tumhe sabse azeez maante hain. Teri dosti ke saaye
mein zinda hain, hum to tujhe khuda ka diya hua tabeez maante hain.
Tu dekh ya na dekh, tere dekhne ka
gam nahi,
Par teri ye na dekhne ki ada dekhne se kam nahi.
Par teri ye na dekhne ki ada dekhne se kam nahi.
Aaj didar, kal yaar, parson pyaar,
phir ekrar, phir intezar, phir takrar,
phir darar, sari mehnat bekar,
aur aakhir mein ek aur devdas at beer bar.
phir ekrar, phir intezar, phir takrar,
phir darar, sari mehnat bekar,
aur aakhir mein ek aur devdas at beer bar.
Bazu-o-mein dum rakhta hun,
Dil mein gum rakhta hun,
Pata tha SMS ayega tera,
Isliye DISPRIN sang rakhta hun.
Dil mein gum rakhta hun,
Pata tha SMS ayega tera,
Isliye DISPRIN sang rakhta hun.
Dil ka dard dil todne wale kya jane,
Pyar ke rivazon ko zamana kya jane,
Hoti hai kitni takleef ladki patane mein,
Ye ghar pe baitha ladki ka baap kya jaane.
Pyar ke rivazon ko zamana kya jane,
Hoti hai kitni takleef ladki patane mein,
Ye ghar pe baitha ladki ka baap kya jaane.
Aey mere SMS mere dost ke pass jana,
Agar wo so raha ho to shor mat machana,
Jab wo jage to dhire se 'Muskarana',
Phir kehna "KANJUS" SMS karo!
Agar wo so raha ho to shor mat machana,
Jab wo jage to dhire se 'Muskarana',
Phir kehna "KANJUS" SMS karo!
Aahat si koi aaye to lagta hai ki
tum ho,
Saya sa koi lehraye to lagta hai ki tum ho,
Ab tumhi batao tum kya kisi bhoot se kam ho?
Saya sa koi lehraye to lagta hai ki tum ho,
Ab tumhi batao tum kya kisi bhoot se kam ho?
Kya lekar aaya tha?
Kya lekar jayega?
Mujhe SMS na karke zaalim,
Tu kitna chillar bachayega?
Kya lekar jayega?
Mujhe SMS na karke zaalim,
Tu kitna chillar bachayega?
Jab jab ghire badal teri yaad ayi,
Jab jhoom ke barsa sawan teri yaad ayi,
Jab-jab mein bhiga teri yaad ayi,
Ab raha nahin jata, Chatri Lauta de Bhai.
Jab jhoom ke barsa sawan teri yaad ayi,
Jab-jab mein bhiga teri yaad ayi,
Ab raha nahin jata, Chatri Lauta de Bhai.
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate
hain,
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain,
Yeh to unke bachche hee kaminey hain,
Jo Mama-Mama kehke bulaate hain.
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain,
Yeh to unke bachche hee kaminey hain,
Jo Mama-Mama kehke bulaate hain.
Hum na hote to aapko gazal kaun
kehta, apke chehre ko gulab kaun kehta,
Ye to karishma hai hum pyar karne walon ka warna pattharon ko Taj Mahal kaun kehta.
Ye to karishma hai hum pyar karne walon ka warna pattharon ko Taj Mahal kaun kehta.
Ankhein khuli ho to chehra tumhara
ho,
Aankhein bandh ho to sapna tumhara ho,
Mujhe maut ka dar na hoga,
Agar kafan ki jagah dupatta tumhara ho.
Aankhein bandh ho to sapna tumhara ho,
Mujhe maut ka dar na hoga,
Agar kafan ki jagah dupatta tumhara ho.
Pyara sa ehsas ho tum, har pal mere
pas ho tum,
Jine ki ek aas ho tum, mann ka ek vishwas ho tum,
Shayad is liye.... Kuch khas ho tum.
Jine ki ek aas ho tum, mann ka ek vishwas ho tum,
Shayad is liye.... Kuch khas ho tum.
Dil mein umeedo ki shamma jala rakhi
hai,
Humne apni alag duniya basa rakhi hai,
Is umeed ke saath ki ayega SMS aapka,
Humne mobile par nazrein jama rakhi hein.
Humne apni alag duniya basa rakhi hai,
Is umeed ke saath ki ayega SMS aapka,
Humne mobile par nazrein jama rakhi hein.
Unka ashiyana dil mein basa rakha
hai,
Unki yadon ko seene se laga rakha hai,
Pata nahi yaad aate hain wohi kyun,
Vaise dost to hamne auron ko bhi bana rakha hai.
Unki yadon ko seene se laga rakha hai,
Pata nahi yaad aate hain wohi kyun,
Vaise dost to hamne auron ko bhi bana rakha hai.
Baag ki har kali, khushbu de apko,
Suraj ki har kiran, nai subah de apko,
Hum to kuch dene ke kabil nahi hain,
Suraj ki har kiran, nai subah de apko,
Hum to kuch dene ke kabil nahi hain,
Zindagi behaal hai,
Sur hai na taal hai,
Msg box bhi kangal hai,
kya aapki sms factory me hartal hai,
Yaar kuch to bhejo ye meri mobile ki zindagi ka sawaal hai.
Hum dua karte hain Khuda se, Sur hai na taal hai,
Msg box bhi kangal hai,
kya aapki sms factory me hartal hai,
Yaar kuch to bhejo ye meri mobile ki zindagi ka sawaal hai.
ki wo aap jaisa dost aur na banaye,
Ek Cartoon jaisi cheez hai humare paas,
kahin wo bhi common na ho jaye!
No comments:
Post a Comment